Man ki Aas

Ashish Gupta
1 min readMay 30, 2021
Photo by Greg Rakozy on Unsplash

man ki ye kaisi aas hai….

ye kaisi adhuri an-kahi, an-suljhi dabi dabi si pyas hai…

kya dhoondta hai man mera jabki sab kuch lagta to hai ki jaise mere paas hai..

na hai chain, na aaram, andar umadta ye kaisa thufan hai…

jeevan lage adhura sa, kaise karo pura ise, aakhir kis som ki mujhe talash hai..

shyad samay ki raftar se joozhta hai man, pana chahta kuch tahrav hai..

pata nahi kya paya itna saalo me, piche dekho to samay laga anant sa.. per dekho.. abhi… to ye pal bas jaane ko tyar hai…

kaisa karo aage ka safar pura is thakan ke saath, dikhti na koi aas hai…

mera man dekhe sapna, jisme ye choona chahe bita jamana hai asambhav jo…per aane wala samay me ise dikhe na koi raas hai..

kya paheli hai mere bhole ki… sab kuch diya per mrig-kastoori ki tareh… hai paas per jiski khusboo bas bharmaye hai

kuch to hai.. kuch hai to sahi.. chupa hai jo samay ke parde me… iss vishwas pe hi tikki man ki ye aas hai…

--

--